Tere ane ka dhoka sa raha hai
Diya sa rat bhar jalta raha hai
Ajab hai rat se akhon ka alam,
Ye dariya rat bhar bahta raha hai

Suna hai rat bhar barsa hai badal,
Magar wo shahr jo pyasa raha hai
wo koi lamha tha achche dino ka,
Jo pichhli rat se yaad aa raha hai
Kaise Dhudhenge in galiyo me
Chalo ab ghar chale din ja raha hai