chand tanha aasma tanha
rah gaya ek baar fir ye dil tanha
bujh gai aas chhup gaya tara
thar-tharata raha dhuwa tanha
zindagi kya isi ko kahte hai
har baar rahe hum yanha tanha
sath sath rahe hum yanha lekin
aaj fir hai raat tanha aur din tanha
humsafar mile agar kahi to
dono chalte rahe yanha tanha
jalti bujhti si roshni ke pare
simta simta raha ek jaan tanha
raah dekha karega sadiyo tak
chhod jayenge ek din ye jahan tanha